Sunday, February 18, 2018

Xnor gate circuit diagram

Exclusive nor gate circuit , working , symbol , ic , use , condition all in hindi

EXCLUSIVE NOR GATE (X-NOR) CIRCUIT DIAGRAM

XNOR GATE CIRCUIT KESE BANAY 



Is post men men apko X-NOR gate banane ke bare man bataunga ki kis tarha xnor gate ka circuit banaya jay ?
Agar apko nahi pata ki xnor gate kya hota he to pehle yah jan lete hen .
XNOR gate ek electronic gate he yah bahut se alag alg tarike se banay jata he lekin men apko unme se ak easy tarike se is gate ko banana bataunga . Ismen 2 - not gate , 2 - and gate our 1 - or gate ko mila kar banaya jayega (2NOT + 2AND + 1 OR ) .
XNOR gate ak digital electronics circuit men use hone bala circuit he iska upyog digital components banane ke liye kiya jata he ap jitne bhi gates ke bare men padenge to un ko acche se samach len kyu ki gates he electronics circuit ke main circuits he inke binka kisi bhi microprocessor ya kisi bhi complicated circuit ko nahi banaya ja sakta he .
XNOR gate ak aisa circuit he jismen two input our one output hota hen . Yadi ap dono input men se kisi bhi ak input men input 1 YA HIGH or dusre INPUT men LOW ya 0 doge to apko output men 0 ya LOW prapt hoga yadi ap dono INPUT men HIGH ya 1 dete ho to apko OUTPUT men 1 ya HIGH prapt hoga.lekin yadi ap dono input men LOW ya 0 dete ho to apko OUTPUT men tab bhi 1 ya HIGH prapt hoga . Isko or bhi acche se ap truth table ke jariye jan sakte hen.

Yadi apne dyan diya hoga iske truth table par to apko pata chalega ki jab bhi iske dono input same (equal) hote hen to output high hota hen . Or yadi unmen antar ya equal nahi hote to output low hota he.

Ismen one ya high se matlab ki ap input men positive voltage input karen. Or zero or low se matlab ki ap input men kuch bhi input na karen ya use negative pin se connect kar den. Same output ke liye bhi yahi matlab hen . To chliye suru karte hen.

TRUTH TABLE


Y = A*B+!A*!B

    INPUT               OUTPUT
A B Y
0 0 1
0 1 0
1 0 0
1 1 1



NECESSARY COMPONENTS

  • BC 547 ya BC 548 TRANSISTOR --7
  • Bc557 ya Bc558 TRANSISTOR --2
  • Resistance 500 ohm -- 8
  • Battery 1 - 12 volts --1
  • Some wire
  • Bread board
KUCH OUR CIRCUITS -
XOR GATE CIRCUIT KESE BANAY

NOR GATE CIRCUIT KESE BANAY


SYMBOL


CIRCUIT DIAGRAM



CONDIATIONS
Input voltage ki value ap 1-12 volts ke bich le sakte hen . Ap low ampear ki battery use karen to jyada sahi hoga .
Output current ki value kam jyada karne ke liye ap apne anusar High ya low output current npn transistor le sakte hen.our 500 ohm resistance ki value kam jyada kar sakte hen bas bahut jyada kam na karen nahi to bah high current ke karan short circuit ho jayega.


THANK YOU FOR READ THIS BLOG ANY ANSWER OR QUESTIONS COMMENTS BELOW

Ankit jat

Author & Editor

I am working on new innovations, projects and ideas. which make our life easier and reliable. I like works that can take our current technology a step further.

0 comments:

Post a Comment